pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake wo ham-safar the jo kuchh dur sath aa na sake tamam umr pashemaniyon mein bit gai ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naz utha na sake mujhe khayal hai un dil-girafta kaliyon ka jinhen nasim-e-sahar chhed de khila na sake kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon mein jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake karam ki aas ke sayon mein bujh gaya wo charagh hawa-e-yas ke jhonke jise bujha na sake andheri shab thi sitaron se kya sukun milta sitare bhi to bahut der jagmaga na sake ghazal ke husn ka ehsas us ko kya 'jawed' khulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake