hasrat-o-yas ka ek naqsh-e-pareshan samjha haal-e-uftada dil-e-sham-e-ghariban samjha qabil-e-dad hai us shakhs ki rangini-e-fikr dil-e-khun-gashta ko jo zist ka unwan samjha be-rukhi ne teri ghaarat kiya mamura-e-shauq aaj dekha to use shahr-e-khamoshan samjha yas ne chhin li kya ishq ki baaligh-nazari wusat-e-kaun-o-makan ko jo ye zindan samjha kuchh na ban aaya jo sar dhun ke to zehn-e-shair daftar-e-husn ko tasnif-e-bahaaran samjha khosha-chin shauq hai us tab-e-rasa ke fan ka jis ke afkar ko main jannat-e-imkan samjha the wo khalwat-kada-e-naz ke parde 'qazi' barg-e-gul jin ko mera dida-e-hairan samjha