sharifon se rifaqat mein to ghaflat hum nahin karte kisi kam-zarf se milne ki chahat hum nahin karte kisi ki chaplusi mein jo din ko raat kahna hai kabhi bhule se bhi us ki himayat hum nahin karte mohazzab daur mein beton ki bikri khub hoti hai koi kah de ye na-jaez tijarat hum nahin karte husul-e-manfat apni nigahon mein muqaddam hai inhin wajhon se izhaar-e-haqiqat hum nahin karte bani-nau-e-bashar ki manzilat shewa hamara hai riwayat-e-buzurgan se baghawat hum nahin karte musalman hain zamane ko payam-e-amn dete hain jo dahshat-gard hain un ki wakalat hum nahin karte ghalat-kari ka jo anjam hona tha hua 'anjum' muqaddar ki kharabi ki shikayat hum nahin karte