hasrat sahi firaq sahi bekali sahi ek bewafa ki yaad mein diwangi sahi mumkin hai kaam aae bura aadmi sahi naseh ye dosti na sahi dushmani sahi main mutmain hun apne dil-e-pur-khulus par un ke khulus mein jo kami hai kami sahi ek pal mein us ne tod diya rishta-e-wafa hasrat mila di khak mein us ne rahi sahi sab kuchh mujhe gawara hai ai jaan-e-arzu nazar-e-karam sahi na sahi barhami sahi 'ambar' wo aadmi hai bura mat kaho use wo lakh na-shanas sahi ajnabi sahi