husn ke samne hum shama jalate kaise

husn ke samne hum shama jalate kaise
aaina-saz ko aaina dikhate kaise

us ka andaz-e-sitam hum ko bahut ras aaya
warna duniya ke sitam aur uthate kaise

lakh chaha ki mohabbat ka na izhaar karen
phir bhi chehre ke tassur ko chhupate kaise

jis ko malum nahin dil ki tabahi ka sabab
dastan us ko mohabbat ki sunate kaise

ye meri shokh-nigahi ka asar hai 'ambar'
warna ghabra ke wo chilman ko uthate kaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close