hasraten ban kar nigahon se baras jaenge hum ek din aaega jab un ko bhi yaad aaenge hum chandni ban kar kabhi daman pe lahraenge hum ban ke aansu gah palkon par thahar jaenge hum sham ko jam-e-masarrat bhar ke chalkaenge hum subh ko daur-e-charagh-e-bazm ban jaenge hum phir kahan paenge hum ko nau-urusan-e-chaman jab faza-e-rang-o-bu mein jazb ho jaenge hum tut jaega ghurur-e-bahr-e-na-paida-kanar is tarah biphri hui maujon se takraenge hum jab zamana khud hi dhoka ban gaya 'shaukat' to phir kaun jaane kis qadar dhoke abhi khaenge hum