hausle ki kami se darta hun dur ki raushni se darta hun dekh kar bastiyon ki virani ab to har aadmi se darta hun aql taron ko chhu ke aati hai aur main chandni se darta hun pahle darta tha tirgi se main aur ab raushni se darta hun meri bechaargi to ye bhi hai aap ki dosti se darta hun ye bhi ek phans bin na jae kahin gham ki aasudgi se darta hun teri zulfon ki chhanw mein rah kar aane wali khushi se darta hun tum to tark-e-wafa bhi kar loge aur mein us ghadi se darta hun be-gharaz kaun hai ki ai 'shaukat' main ye kah dun usi se darta hun