hasti ko jamal de raha hun

hasti ko jamal de raha hun
main teri misal de raha hun

mani pe chadha ke ghaza-e-nau
lafzon ko khayal de raha hun

mazi pe nigah hai apni gahri
farda ko main haal de raha hun

mushkil bhi hai aur sahal bhi hai
aisa main sawal de raha hun

shishagari hai ajib meri
aaine ko baal de raha hun

mahaul mein hai kuchh aisi khunki
jazbaat ko shaal de raha hun

kyun aariz-e-waqt ab na nikhre
fan ka hasin khal de raha hun

imroz ke jitne hain masail
farda hi pe tal de raha hun

phans kar yun shikanje mein gunah ke
makdi ko main jal de raha hun

gumrah zamana hai to kya gham?
sham-e-mah-o-sal de raha hun

dil tut gaya to kya 'karamat'
paigham-e-visal de raha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close