tasawwur munkashif-az-baam ho jaane se darta hun ata-e-kashf ke itmam ho jaane se darta hun zamin-o-arsh ke baham talluq ke tanazur mein zamin-o-arsh ka idgham ho jaane se darta hun kabhi sab kar guzarne ka junun bechain rakhta hai kabhi yun bhi hua sab kaam ho jaane se darta hun mohabbat irtibaat-e-qalb se mashrut hoti hai yaqin-o-rabt ke ibham ho jaane se darta hun kahan mujh ko mayassar misr ka bazar aaega khud apni zat mein nilam ho jaane se darta hun 'ali' bahr-e-mohabbat ka shanawar hun khuda shahid wafa ke nam pe ilzam ho jaane se darta hun