hasti ko meri masti-e-paimana bana de ai be-khabari hasil-e-mai-khana bana de talib hun main us ek nigah-e-do-asar ka jo hosh mein la kar mujhe diwana bana de ai barhaman ek din but-e-pindar ko apne tod aur charagh-e-dar-e-but-khana bana de kah do ki bahaar aae to be-kar na baithe diwana bane ya mujhe diwana bana de diwangi-e-ishq badi chiz hai 'simab' ye us ka karam hai jise diwana bana de