manzar meri aankhon mein rahe dasht-e-safar ke kuchh ret ke tile dar-o-diwar hain ghar ke lahron pe mere panw jame hain ki safar mein hai shart thaharna ki zamin panw se sar ke ta-umr rahe jis ke liye zarra-e-na-chiz dekhe wo kabhi kash bulandi se utar ke pani ke kai rang dhanak mein hain ki tu hai taswir mein aai hai teri shakl nikhar ke dariya ki tarah arsa-e-gul mein hai rawan kya baadal ki tarah dekh hawaon mein thahar ke patte the kabhi sarsar-e-tufan mein tute tair hain ki ud jaen meri chap se dar ke dube hain wo yun sab ke samundar mein ki gham hain suraj ki chamak aankh mein lae the jo bhar ke hasrat hai ki dekhun main ubharta hua suraj kis kohar mein dube hain dar-o-baam sahar ke