hasti miTa kar apni jab ek bund sagar mein giri

hasti mita kar apni jab ek bund sagar mein giri
kuchh ne kaha ye wasl hai kuchh ne kaha ye khud-kushi

bunden do barsin sath hi qismat par apni apni thi
ek ain sagar mein giri ek ret mein gum ho gai

sagar kinare baith kar hum ne kiya mahsus ye
sagar hun main sagar hun main har bund hai ye kah rahi

hai kaun jo is raaz se hum ko karae aashna
sagar hai bundon se hua ya bund sagar se hui

ek dip ki lau se bhale lakhon jalao dip tum
ek til kisi bhi dip ki ghatti nahin hai raushni

daulat ajab hai ye badi badhti hai jo bas bant kar
rahna agar hai khush tumhein banto sada sab ko khushi

ab kya bataen ai 'sada' kya hai haqiqat kya majaz
parde mein apni khalq ke khaliq chhupa hai aap bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close