hathon mein gar hai jam to lab pe dua bhi hai

hathon mein gar hai jam to lab pe du'a bhi hai
is mai-kade mein zahido zikr-e-khuda bhi hai

in'am bhi hai 'ishq agarche saza bhi hai
lazzat hai kuchh tapish mein khalish mein maza bhi hai

ruthi hai duniya sari tere ruthne ke ba'd
jab tum badal gae ho to badli hawa bhi hai

itni si baat aai na wa'iz samajh tujhe
tera hai jo khuda wo hamara khuda bhi hai

likh likh ke kale kar diye panne to be-shumar
ek she'r ne tere kisi dil ko chhua bhi hai

maujud har jagah pe hai dikhta kahin nahin
andar bhi hai hamare wo hum se juda bhi hai

sach-sach bata 'sada' tu gareban mein jhank kar
teri nigah mein koi tujh se bura bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close