hata ke mez se ek roz aaina main ne phir apne-ap se rakkha na wasta main ne jab apne-ap se pahchan apni kho ke mili to khud hi kat diya apna rasta main ne main kam-sini mein bhi gudiya kabhi nahin kheli palon mein tai kiya barson ka fasla main ne charagh hun mujhe jab dhup ras aa na saki to khud sikod liya apna daera main ne main apne aap mein hun ya nahin, kabhi apna kisi ko thik bataya nahin pata main ne ajib kya jo bikhera nahin samet ke phir tamam umr umidon ka silsila main ne