ek diye ne sadiyon kya kya dekha hai batlae kaun chhodo agle waqton ke qisse phir se dohrae kaun ab bhi khadi hai soch mein dubi ujyalon ka dan liye aaj bhi rekha par hai rawan sita ko samjhae kaun apna apna aasan chhod ke har murat uth aai hai sone ki diwaron mein rah kar pathar kahlae kaun jis ne diye ki kalak ko bhi mathe ka sindur kiya apne ghar ki us diwar se apna bhed chhupae kaun jaane kitne raaz khulen jis din chehron ki rakh dhule lekin sadhu-santon ko dukh de kar pap kamae kaun ek naya sapna banta hai aur ban kar is soch mein hai sadiyon se aapas mein uljhe dhagon ko suljhae kaun ab bhi buzurgon ki baaten sun kar achchha to lagta hai par in girti diwaron se apni pith lagae kaun