hath aaya hai sitamgar tu badi ghat ke baad sab bata dunga main tujh ko magar ek baat ke baad bosa-e-chashm talab main ne kiya ro ro kar hans ke farmaya ki manzur hai barsat ke baad un se kahta hun sahar hoti hai ghabrao nahin dil mein kahta hun na ho din kabhi is raat ke baad gulgule shokh ke munh lag gae mulla ke zarur hont kyon chatta phirta hai khuda raat ke baad aadmi hai ki hai aaseb ye kambakht raqib kah de aaya kare ghar tere jumeraat ke baad