hath hamare sab se unche hathon hi se gila bhi hai ghar aise ko saunp diya jo aag bhi hai aur hawa bhi hai apni ana ka jal kisi din pagal-pan mein todunga apni ana ke jal ko main ne pagal-pan mein buna bhi hai diye ke jalne aur bujhne ka bhed samajh mein aae to kya isi hawa se jal bhi raha tha isi hawa se bujha bhi hai raushniyon pe panw jama ke chalna hum ko aaya nahin waise dar-e-khurshid to hum par gahe gahe khula bhi hai dard ki jhil-mil raushniyon se bara khwab ki duri par hum ne dekhi ek dhanak jo shoala bhi hai sada bhi hai tez hawa ke sath chala hai zard musafir mausam ka os ne daman tham liya to pal-do-pal ko ruka bhi hai sahil jaisi umar mein hum se sagar ne ek baat na ki lahron ne to jaane kya kya kaha bhi hai aur suna bhi hai ishq to ek ilzam hai us ka wasl ka to bas nam hua wo aaya tha qatil ban ke qatl hi kar ke gaya bhi hai