kahun main kya ki kya dard-e-nihan hai tumhaare puchhne hi se ayan hai shikayat ki bhi ab taqat kahan hai nigah-e-hasrat aah-e-na-tawan hai nishan-e-pa-e-gair us aastan par nahin hai mere marqad ka nishan hai ajal ne ki hai kis dam mehrbani ki jab pahlu mein wo na-mehrban hai tujhe bhi mil gaya hai koi tujh sa ab aaine se wo sohbat kahan hai ye kis gul-ru ka aalam yaad aaya dam-e-sard ek nasim-e-bostan hai hui betabi-e-bulbul moassir ki ghabraya hua kuchh baghban hai sahar un ko irada hai safar ka qayamat aane mein shab darmiyan hai koi yan lao us isa-nafas ko ki marta 'shefta' nam ek jawan hai