hath hathon mein na de baat hi karta jae hai bahut lamba safar yun to na darta jae ji mein thani hai ki jina hai bahar-haal mujhe jis ko marna hai wo chup-chap hi marta jae khud ko mazbut bana rakkhe pahadon ki tarah ret ka aadmi andar se bikharta jae surkh phulon ka nahin zard udasi ka sahi rang kuchh to meri taswir mein bharta jae mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare kab main kahta hun mujhe pyar hi karta jae ghar ki diwar ko itna bhi tu uncha na bana tera ham-saya tere sae se darta jae