dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue baitha hua hun zist ka saman kiye hue ab mushkilat-e-rah-e-mohabbat ka zikr kya ek umr ho gai inhen aasan kiye hue pita hun roz pita hun talkhaba-e-umid ehsas-e-lutf-e-saqi-e-dauran kiye hue bahla raha hun dil ko fareb-e-khayal se ummid-e-gham-gusari-e-yaran kiye hue but-khana-e-majaz se guzra hun barha khuddari-e-nigah numayan kiye hue ab ja raha hun jaanib-e-mai-khana-e-mughan sad-ehtiram-e-hazrat-e-yazdan kiye hue achchha to aaj sair-e-kharabaat hi sahi lekin khayal-e-talkhi-e-dauran kiye hue baithe hue hain baada-kashan-e-wafa khamosh ehsas-e-talkh-kaami-e-yaran kiye hue dekho wo ja rahe hain harifan-e-tez-gam azm-e-tawaf-e-manzil-e-jaanan kiye hue ahbab-e-khush-mazaq ka ehsan hai ye 'raaz' muddat hui thi dil ko ghazal-khwan kiye hue