hath jab mausam ke gile ho gae hain zakhm dil ke aur gahre ho gae hain bantte the jo bahaar-e-zindagani band ab wo bhi dariche ho gae dub jaega hamare sath wo bhi ye jo socha hath dhile ho gae hain laj rakhni pad gai hai doston ki hum bhari mahfil mein jhute ho gae hain ai gham-e-mazi tujhe main nazr kya dun khushk aankhon ke katore ho gae hain ab madad khar-e-bayaban hain karenge sadd-e-rah pairon ke chhaale ho gae hain so sakega wo bhi 'akhtar' chain se ab hath beti ke jo pile ho gae hain