hath khali hain tere shahr se jate jate jaan hoti to meri jaan lutate jate ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai umr guzri hai tere shahr mein aate jate ab ke mayus hua yaron ko rukhsat kar ke ja rahe the to koi zakhm lagate jate rengne ki bhi ijazat nahin hum ko warna hum jidhar jate nae phul khilate jate main to jalte hue sahraon ka ek patthar tha tum to dariya the meri pyas bujhate jate mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jate hum se pahle bhi musafir kai guzre honge kam se kam rah ke patthar to hatate jate