kutiya mein kaun aaega is tirgi ke sath ab ye kiwad band karo khamushi ke sath saya hai kam khajur ke unche darakht ka ummid bandhiye na bade aadmi ke sath chalte hain bach ke shaikh o barhaman ke sae se apna yahi amal hai bure aadmi ke sath shaistagan-e-shahr mujhe khwah kuchh kahen sadkon ka husn hai meri aawargi ke sath shair hikayaten na suna wasl o ishq ki itna bada mazaq na kar shairi ke sath likhta hai gham ki baat masarrat ke mood mein makhsus hai ye tarz faqat 'kaif' hi ke sath