hath kyun thakne lage hain qatilon se puchhna

hath kyun thakne lage hain qatilon se puchhna
ke bhi kyun bolti hain gardanon se puchhna

tum ne to bas haal hi puchha tha mujh bimar ka
aa gae hain kyun umand kar aansuon se puchhna

jujhte rahne ka hai sailab se mafhum kya
kashtiyon ko khene wale manjhiyon se puchhna

bhuke bachche ke liye kya shai hai mamta ki tadap
dudh se mahrum man ki chhatiyon se puchhna

dhup mein patjhad ki un ka ped se rishta hai kya
sukhe danthal jin ke hain un pattiyon se puchhna

gunjti hai ek akele hans ki aawaz kyun
kal mile the jin pe hum in sahilon se puchhna

yaad hai ab tak mujhe 'athar' ki mera bar bar
un ke naqsh-e-pa kahan hain raston se puchhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close