zindagi silsila-e-wahm-o-guman hai yaro dil-e-betab ko taskin kahan hai yaro wahi sayyaad ki ghaten hain wahi kunj-e-qafas fasl-e-gul rehn-e-gham-e-jaur-e-khizan hai yaro wahi afkar ki uljhan wahi mahaul ka jabr zehn pa-basta-e-zanjir-e-giran hai yaro wahi hasrat wahi lab aur wahi mohar-e-sukut shauq ko jurat-e-izhaar kahan hai yaro azm ki rah bhi wahi rah mein kante bhi wahi dur koson mari manzil ka nishan hai yaro bewafai ka khudara mujhe ilzam na do tum pe haal-e-dil-e-betab ayan hai yaro kash main kah bhi sakun kash koi sun bhi sake aah wo raaz ki jo raaz-e-nihan hai yaro mere honton pe hai ek naghma-e-be-saut-o-sada dil mein ek mahshar-e-fariyaad-o-fughan hai yaro ek taghaful ki jo hai wajh-e-pareshani-e-dil ek yaad in ki hai jo rahat-e-jaan hai yaro aaj sahil ke qarin dubne wala hai 'majid' nakhuda ko to pukaro wo kahan hai yaro