hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad khair yun badh gai tauqir-e-wafa mere baad khud se mahjub hai khud un ki haya mere baad husn maghmum hai mazur-e-ada mere baad rang laegi meri aah-e-rasa mere baad tum mujhe yaad karoge ba-khuda mere baad ho gae zard kaf-e-dast-e-nigarin afsos khair sarsabz to hai nakhl-e-hina mere baad sogwari mein hasinon ne badhae jhule kitni be-kaif hai sawan ki faza mere baad kyun nadamat se tah-e-khak gada jata hun tum ne kis dil se mujhe yaad kiya mere baad ab kahan hain wo lab-e-baam qamar ke jalwe un ki surat ko tarasti hai faza mere baad qabr par lae chadhane ko meri aaina yun uthi mayyat-e-andaz-o-ada mere baad bhul jate hain wo ab roz lagana mehndi roz pisne ko tarasti hai hina mere baad mar ke kya chain mile ab ye khalish hai 'talib' ba-wafa ban gae arbab-e-jafa mere baad