hath malwati hain huron ko tumhaari chudiyan pyari pyari hai kalai pyari pyari chudiyan band kar deti hain sab ko pyari pyari chudiyan bolti hain lakh mein badh kar tumhaari chudiyan ai buto sarkash agar ho aatish-e-rang-e-hina shoala-e-jawwala ban jaen tumhaari chudiyan barhami halqa-bagoshon ki unhen manzur hai phut dalwati hain lakhon mein tumhaari chudiyan huron ki aankhon ke halqe ai pari maujud hain in butanon se chadhao pyari pyari chudiyan dil mein chhed kar khun ki bundon se har reza bhare tut kar ban jaen bunde ki katari chudiyan sarw-qamat hain hazaron dam-e-ulfat mein asir tauq-e-qumri hain tumhaari pyari pyari chudiyan sadqe hoti hain barabar un kalai pahunchon par gird phirti hain khushi se bari bari chudiyan dast-e-nazuk ne zamane ko kiya halqa-ba-gosh kya khule bandon nazar aain tumhaari chudiyan ai falak un ko nahin bhata sitaron ka bhi jod kahte hain meri bala pahne kunwari chudiyan ru-e-raushan par jo tum ne hath rakha naz se chand ka haala nazar aain tumhaari chudiyan huren bhejengi tujhe ai rashk-e-gul firdaus se laegi mashshata-e-fasl-e-bahaari chudiyan kyun na nikle nok khun-rezi ke har andaz mein laut kar bhi dil mein chubhti hain tumhaari chudiyan bal nikala saikdon bankon ka dast-e-naz se bank ke fan mein huin yakta tumhaari chudiyan khun ki bunden bani hain chunniyan yaqut ki dil mein chubh kar de rahi hain zakhm-e-kari chudiyan kyun na hon halqa-ba-gosh aa kar hasinan-e-bahisht huron ke kanon ki baali hain tumhaari chudiyan main ne hatha-pai jab ki sard-mohre se kaha garm-joshi se huin thandi hamari chudiyan dekh lo ai gul-rukho murghan-e-dil paband hain baal ke phande ki surat hain tumhaari chudiyan karte hain apne zabanon mein tere hathon ka wasf bolti hain ek munh ho kar sitari chudiyan har sitare ki chamak nur-e-jahan-e-husn hai rakhti hain hukm-e-jahangiri tumhaari chudiyan jaan pad jati hai dast-e-naz se har chiz mein rang ban kar chadhti hain hathon mein sari chudiyan go guhar ho ai pari naz-e-nigah-e-hur ka ainak-e-rizwan ki halqa hain tumhaari chudiyan kar ke hatha-pai doli mein kiya un ko sawar saf thandi ho gain waqt-e-sawari chudiyan bundon ke halqe nahin padte hain ai gul nahr mein dalta hai hindu-e-abr-e-bahaari chudiyan khun lakhon ka kiya karte hain har jhankar se khub sachcha jod chalti hain tumhaari chudiyan ghair dewdhi par kiya karte hain aaraish ka zikr halqa-e-bairun-e-dar thahri tumhaari chudiyan naz se farmate hain lun kis tarah tera salam hath uth sakte nahin aisi hain bhaari chudiyan utri padti hain phisal kar dast-e-nazuk se mudam kis tarah thahren kalai mein tumhaari chudiyan mar dala aatish-e-gham ne jala kar ai 'munir' thandi kar din sog mein us gul ne sari chudiyan