kabhi charagh kabhi rasta badal kar dekh bahut qarib hai manzil zara sa chal kar dekh tere hisar se bahar nahin zaman-o-makan tu meri tarah kisi aaine mein dhal kar dekh faqir ban ke wo aaya hai teri chaukhat par ye koi aur nahin hai zara sambhal kar dekh nigar-khana-e-gardun ko rakh karte hue zara si der kisi taqche mein jal kar dekh zamin tang hui ja rahi hai logon par hudud-e-qarya-e-jaan se kabhi nikal kar dekh rawan-dawan hain kisi samt mein ki sakit hain phir ek bar sitaron ki aankh mal kar dekh ajib lutf hai tark-e-nashat mein 'sajid' jo ho sake to meri baat par amal kar dekh