hath na aai duniya bhi aur ishq mein bhi gumnam rahe soch ke ab sharminda hain kyun donon mein nakaam rahe ab tak us ke dam se apni khush-fahmi to qaem hai achchha hai jo baat mein is ki thoda sa ibham rahe hum ne bhi kuchh nam kiya tha hum ko bhi eazaz mile ishq mein hum bhi ek muddat tak morid-e-sad-dushnam rahe mere pas to apne liye bhi aksar koi waqt na tha han jo faraghat ke lamhe the teri yaad ke nam rahe waqif-e-haal to hai wo apna munsif-e-jaan-dar sahi us ke har insaf ka lekin mere sar ilzam rahe aaj ka din bhi be-masraf si sochon hi mein bit gaya aaj ke din bhi yun hi pade phir ghar ke sare kaam rahe