hath pakad le ab bhi tera ho sakta hun main bhid bahut hai is mele mein kho sakta hun main pichhe chhute sathi mujh ko yaad aa jate hain warna daud mein sab se aage ho sakta hun main kab samjhenge jin ki khatir phul bichhata hun rahguzar mein kante bhi to bo sakta hun main ek chhota sa bachcha mujh mein ab tak zinda hai chhoti chhoti baat pe ab bhi ro sakta hun main sannate mein dahshat har pal gunja karti hai is jangal mein chain se kaise so sakta hun main soch samajh kar chattanon se uljha hun warna bahti ganga mein hathon ko dho sakta hun main