jab kabhi dariya mein hote saya-afgan aap hain fils-e-mahi ko batate mah-e-raushan aap hain site hain sozan se chaak-e-sina kya ai chaarasaz khar-e-gham sine mein apne misl-e-sozan aap hain pyar se kar ke hamail ghair ki gardan mein hath marte tegh-e-sitam se mujh ko gardan aap hain khinch kar aankhon mein apni surma-e-dumbaala-dar karte paida sehr se nargis mein sosan aap hain dekh kar sahra mein mujh ko pahle ghabraya tha qais phir jo pahchana to bola hazrat-e-man aap hain ji dhadakta hai kahin tar-e-rag-e-gul chubh na jae sej par phulon ki karte qasd-e-khuftan aap hain kya maza hai tegh-e-qatil mein ki aksar said-e-ishq aan kar us par ragadte apni gardan aap hain mujh se tum kya puchhte ho kaise hain hum kya kahen ji hi jaane hai ki jaise mushfiq-e-man aap hain pur-ghurur o pur-takabbur pur-jafa o pur-sitam pur-fareb o pur-dagha pur-makr o pur-fan aap hain zulm-pesha zulm-shewa zulm-ran o zulm-dost dushman-e-dil dushman-e-jaan dushman-e-tan aap hain yakka-taz o neza-baz o arbada-ju tund-khu tegh-zan dashna-guzar o nawak-afgan aap hain tasma-kash taraaz o ghaarat-gar taraj-saz kafir yaghmai o qazzaq rahzan aap hain fitna-ju bedad-gar saffak o azlam kina-war garm-jang o garm-qatl o garm-kushtan aap hain bad-mizaj o bad-dimagh wa bad-shiar o bad-suluk bad-tariq o bad-zaban bad-ahd o bad-zan aap hain be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna mere qatil mere hasid mere dushman aap hain ai 'zafar' kya pa-e-qatil ke hai bose ki hawas yun jo bismil ho ke sargarm-e-tapidan aap hain