hath rakhte hi tha haal-e-qalb-e-muztar aaina dast-e-nazuk hai hasinon ka muqarrar aaina ban gaya ghammaz shakl un ki dikha kar aaina jo hamara raaz-e-dil tha ab hai un par aaina tod kar dil tum ne khoya imtiyaz-e-husn bhi ek tumhaare pas tha ya ab hai ghar ghar aaina dekhna hai kis mein achchhi shakl aati hai nazar us ne rakkha hai mere dal ke barabar aaina aaina rakkho lo ki duna lutf aae waqt-e-ranj is taraf tum us taraf khinche ho khanjar aaina aks se apne kisi ke garm-joshi qahr thi rah gaya aakhir pasine mein naha kar aaina shauq-e-khud-bini sitam ninden jawani ki ghazab be-khabar sote hain wo rakkha hai munh par aaina shokhiyon se ban gaya bijli kisi ka aks bhi ab to hathon se nikalta hai tadap kar aaina yun kahan mumkin tha husn-e-khas ka didar-e-am ban gai aakhir sarapa subh-e-mahshar aaina dekh len shayad 'nazar' wo dida-e-insaf se le chalo tute hue dil ka bana kar aaina