ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya dasht-e-ghurbat mein musafir ko watan yaad aaya chutkiyan dil mein mere lene laga nakhun-e-ishq gul-badan dekh ke us gul ka badan yaad aaya wahm hi wahm mein apni hui auqat basar kamar-e-yar ko bhule to dahan yaad aaya barg-e-gul dekh ke aankhon mein tere phir gae lab ghuncha chatka to mujhe lutf-e-sukhan yaad aaya dar-ba-dar phir ke dila ghar ki hamein qadr hui rah-e-ghurbat mein jo bhule to watan yaad aaya aah kyun khench ke aankhon mein bhar aae aansu kya qafas mein tujhe ai murgh-e-chaman yaad aaya phir 'amanat' mera dil bhul gaya aish o tarab phir mujhe rauza-e-sultan-e-zaman yaad aaya