hatheliyon pe liye apne sar gae hain log safar pe ab ki ba-rang-e-digar gae hain log tere sitam ka gila yun bhi kar gae hain log ki aur kuchh na chala bas to mar gae hain log dilon ke tera gharon par tere jamal ki dhup jo aa padi hai to kya kya sanwar gae hain log hua hai yun bhi ki apni talab ke sahra mein misal-e-mauja-e-ju-e-safar gae hain log badhi hai tishna-labi zindagi ki jab had se to apni zat ke saghar mein bhar gae hain log dilon mein suraten kya kya hain khauf-e-pinhan ki badha hai apna hi saya to dar gae hain log ude hain rah-guzaron mein gard-e-jaan ban ke safar ke ishq mein kya kya na kar gae hain log ufuq gawah rahe qatl-e-aftab ke baad shafaq luti hai to phir apne ghar gae hain log ye sail-e-khwab tha ya khwab-e-sail tha kya tha ki chadh ke surat-e-dariya utar gae hain log ab un ke laut na sakne ka gham tujhe kyun ho ki su-e-dar tere hukm par gae hain log na koi saya na aahat ye hashr kaisa hai kahan chhupi hain sadaen kidhar gae hain log sulag uthega har ek dar hawa ke chalte hi qafas mein surat-e-raqs-e-sharar gae hain log main khud gaya to khula sara shahr qaid mein tha khabar ye thi ki bahut mukhtasar gae hain log kahin pe kuchh to hua hai ki aaj zindan mein gae hain aur bahut be-khatar gae hain log tulu-e-mehr ko ab kaun rok sakta hai gharon mein ham-rah-e-najm-e-sahar gae hain log