hathon mein aaj ki shab mehndi lagaiyega samjhe ye rang hum bhi kuchh rang laiyega ye shokhiyan tumhaari likkhi hui hain dil par aakhir kabhi to mere qabu mein aaiyega phir main bhi kuchh kahunga dekho zaban roko phir munh chhupa ke mujh se aansu bahaiyega zat-e-sharif ho tum main khub jaanta hun tufan aur koi mujh par uthaiyega han shama ka main gul hun naseh ki guftugu hun badh jaunga jahan tak mujh ko ghataiyega ummid-war baqi kuchh aur rah gae hain phir bhi naqab-e-gesu munh se hataiyega be-wajh ye nahin hai andaz guftugu ka phir kal ki tarah ai jaan baaten sunaiyega main hun mizaj-qatil lazim hai khauf mujh se jhuti qasam nahin hun har-dam jo khaiyega ye kyun hai na-umidi dargah-e-kibriya se jo kuchh ki aarzu hai waisa hi paiyega mushtaq ne to jaan di gul-gu libas kyun ho ye rang-e-nau-urusi kis ko dikhaiyega dekho raqib aae dekho raqib aae kya munh ab aap ka hai jo munh chhupaiyegaga hum khub jaante hain ustadiyan tumhaari mahfil mein baithe baithe aankhen milaiyega aakhir kuchh intiha bhi be-rahmiyon ki sahab kahiye to aashiqon ko kab tak sataiyega mumkin nahin jo niyyat badle tumhaari ai jaan kya qahr aaj ki shab hum par na laiyega kuchh lahza aur thahro ta-ruh tan se nikle aaegi aur aafat gar aap jaiyega samjhe hue hain jo kuchh dil mein bhare hue hai kahe ko aaiyega kahe ko aaiyega aao to jald aao dam-bhar ke baad ai jaan mujh ko na paiyega mujh ko na paiyega sun lijiyega jo kuchh muddat se aarzu hai fursat ho gar mayassar dam-bhar ko aaiyega kuchh dur main nahin hun lazim hai yaad karni manind-e-dil mujhe bhi pahlu mein paiyega thandi kabhi na hongi kya garmiyan tumhaari aakhir 'nasim' ka dil kab tak jalaiyega