hathon mein kisi shai ke hum sab ka muqaddar hai samjho to wo aaina dekho to wo patthar hai sadiyon se har ek dil mein ek khwab munawwar hai wo jism ka saya hai ya sae ka paikar hai ek umr hui hum ne dekha tha kisi gul ko har gosha-e-dil ab tak khushbu se moattar hai giton ke hasin paikar murjha nahin paenge jab tak gham-e-mahbubi takhil ka shahpar hai mushkil hai samajh pana shair ki tabiat ko ek pal mein wo sahra hai ek pal mein samundar hai manunga tujhe jab tu kuchh kar ke dikhaega baaton mein to ai 'zahid' har shakhs sikandar hai