hausla bhi diya har safar mein sada

hausla bhi diya har safar mein sada
talkh lahja raha bas nazar mein sada

waqt jaisa bhi achchha-bura jo bhi tha
sath us ne diya har safar mein sada

tut kar main kabhi jo bikharne lagi
to sahaara diya har dagar mein sada

un ke chehre se hum kuchh samajh na sake
gham chhupate rahe wo jigar mein sada

martaba bap ka kya likhen 'aisha'
dhup bhi chhanw hai is shajar mein sada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close