meri aankhon ke har manzar ki har taswir mein tum ho

meri aankhon ke har manzar ki har taswir mein tum ho
meri guftar mein tum ho meri taqdir mein tum ho

tumhein chaha tumhein manga tumhein dil mein basaya hai
mere andar hai jo aabaad us jagir mein tum ho

bahut masruf rahte ho kabhi milne nahin aate
na jaane kaun si uljhi hui zanjir mein tum ho

mere khwabon mein aate ho haqiqat mein nahin aate
nahin mere magar har khwab ki tabir mein tum ho

tumhaare waste main ne kabhi likha nahin kuchh bhi
magar jab padh rahi hun to meri tahrir mein tum ho

hamesha mangti hun main tumhein apni duaon mein
khuda ka faisla ye hai meri taqdir mein tum ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close