hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge

hausla did ka aur tab-e-nazar dekhenge
husn hi husn ke hum shams-o-qamar dekhenge

dekhna pad gai mayus andheron ki sahar
sochte the ki umidon ki sahar dekhenge

kya ajab git bhi bulbul ka sunai de jae
sehn-e-gulzar mein ek ek gul-e-tar dekhenge

ru-ba-ru un ke koi baat na hum se hogi
apni khamosh nigahon ka asar dekhenge

tu ab aae ki na aae ye tujhi par chhoda
umr bhar hum to teri rahguzar dekhenge

hum ne mehnat se lagae the sukhan ke paude
sochte the ki kabhi un ka samar dekhenge

ibtida hi se hai kesh apna faqat tark-e-rusum
chhod kar dair-o-haram aap ka dar dekhenge

apne aaina-e-gham mein gham-e-afaq liye
gham-e-hasti ko ba-andaz-e-digar dekhenge

zindagi lai nazar mein jo hawadis 'maghmum
dekhna hum nahin chahenge magar dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close