us dasht ka jo rabta hai tishnagi ke sath

us dasht ka jo rabta hai tishnagi ke sath
tu khush rahe dua hai magar ek kami ke sath

tujh se bichhad ke hum mare to jaan nahin magar
phir kar liye ye fasle aur zindagi ke sath

dhundh ab shajar pahad parinde hawa kahin
ukta gaya hai aadmi ab aadmi ke sath

wo silsila ajib tha tanhai ka meri
sab ke rahe qarib magar dushmani ke sath

rona na dhona jhagda na koi shikayaten
wo rishta tod bhi gaya to sadgi ke sath

sab sochte rahe ki mohabbat hi chhod di
pakda gaya wo krishn usi bansuri ke sath

guzra jo koi apne bhi ghar phir nahin gaya
hai kaun sa ye rishta teri us gali ke sath

ek ek yaad teri pighalti hai barf si
kya hi maza sharab ka hai tirgi ke sath

uth kar chala gaya wo kahin aur bazm se
achchha nahin hua ye meri shairi ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close