hausla imtihan se nikla jaan ka kaam jaan se nikla dard-e-dil un ke kan tak pahuncha baat ban kar zaban se nikla bewafai mein wo zamin wala hath bhar aasman se nikla harf-e-matlab faqat kaha na gaya warna sab kuchh zaban se nikla kuchh ki kuchh kaun sunne wala tha kuchh ka kuchh kyun zaban se nikla ek sitam mit gaya to aur hua aasman aasman se nikla jis se bachta tha main dam-e-izhaar wahi pahlu bayan se nikla wo bhi arman kya jo ai 'muztar' dil mein rah kar zaban se nikla