taqsim tazkire ko main kaise raqam karun tanhaiyon mein baithun ki aankhon ko nam karun hirs-o-hawas ke sath bhi fani hai zindagi kya is ke waste koi saman baham karun badhne laga hai silsila-e-etimad phir is silsile ko aur badhaun ki kam karun tu phir se aa gaya hai meri zindagi mein dost is baat ka main lutf uthaun ki gham karun maqsad hai mere samne apni shanakht ka pamal raston ko main kyun ham-qadam karun