hausla koi shab-e-wasl nikalne na diya

hausla koi shab-e-wasl nikalne na diya
dard-e-dil ne mujhe ek dam bhi sanbhalne na diya

aasmanon ko dila zabt ne jalne na diya
aatishin-nala mere munh se nikalne na diya

hum ne dil soz-e-tap-e-hijr se jalne na diya
sath aahon ke dhuan munh se nikalne na diya

baghiyon ne ye kiya zulm misal-e-shamshad
nakhl-e-ummid mera phulne phalne na diya

zikr-e-gesu-e-pareshan se pareshan rakkha
dil ko main ne shab-e-furqat mein sanbhalne na diya

khanjar-e-naz se manzur jo tha qatl mujhe
nimcha miyan se qatil ki nikalne na diya

ai masiha tap-e-furqat bhi bala hai koi
tere bimar-e-mohabbat ko sanbhalne na diya

khauf-e-taraji-e-gulshan ka use tha jo khayal
nala bulbul ne kabhi munh se nikalne na diya

lakh phadka hi kiya main ne magar ai sayyaad
murgh-e-dil ko qafas-e-tan se nikalne na diya

bazi-e-ishq bhala hum se wo kya le jata
'fakhir' us shokh ka chakma koi chalne na diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close