khwahish-e-sharbat-e-didar karun ya na na karun main ilaj-e-dil-e-bimar karun ya na karun talab-e-wasl pe israr karun ya na karun bose le kar use bezar karun ya na karun nale shab ko pas-e-diwar karun ya na karun khwab se yar ko bedar karun ya na karun mujh se kahte hain batao to mere sar ki qasam murgh-e-dil ko main giraftar karun ya na karun ya ilahi mujhe is mein hai taraddud kal se dil ye main pesh-kash-e-yar karun ya na karun chhin kar dil mere pahlu se na le jae kahin tark main ulfat-e-dildar karun ya na karun ya-ilahi kahin asrar na howen is mein tair-e-dil main giraftar karun ya na karun sakht mushkil mujhe darpesh hui hai kal se aaj ishq-e-but-e-pindar karun ya na karun niche talwar ke sabit-qadami mushkil hai sar ke dene ka main iqrar karun ya na karun khauf mujh ko hai ki nazuk hai tabiat un ki bose lene pe main israr karun ya na karun par dil ki na kahin tir-e-nazar ho jae aankhen us shokh se main chaar karun ya na karun aatish-e-hijr se dil mera jalaya tum ne munh se main aah-e-sharar-bar karun ya na karun mere dil se hai ye ek rashk-e-zulekha ka sawal misl yusuf ke tujhe pyar karun ya na karun wada-e-wasl jo us se ba-qasam leta hun dil se kahte hain main iqrar karun ya na karun aap ki rae hai kya hazrat-e-musa is mein tur par khwahish-e-didar karun ya na karun qabr mein shana hila kar wo mera kahte hain khwab-e-ghaflat se main bedar karun ya na karun bewafa ek talab karta hai mujh se 'fakhir' dil ke dene mein main inkar karun ya na karun