hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka mujh ko andaza na tha zakhm ki gahrai ka khushbuen phul se ab izn safar mangti hain is qadar qaht pada shahr mein goyai ka ab nigahon mein na manzar hai na pas-manzar hai ek ilzam in aankhon pe hai binai ka sar-e-dahliz pareshan-o-sarasima hun dar muqaffal hua mujh par meri tanhai ka silsile tut chuke sare mohabbat ke magar sur se ek rabt hai qaem abhi shahnai ka is qadar jhut racha hai rag-o-pai mein 'mohsin' chehra ab maskh nazar aata hai sachchai ka