main jahan tum ko bulata hun wahan tak aao meri nazron se guzar kar dil-o-jaan tak aao phir ye dekho ki zamane ki hawa hai kaisi sath mere mere firdaus-e-jawan tak aao hausla ho to udo mere tasawwur ki tarah meri takhil ke gulzar-e-jinan tak aao tegh ki tarah chalo chhod ke aaghosh-e-niyam tir ki tarah se aaghosh-e-kaman tak aao phul ke gird phiro bagh mein manind-e-nasim misl-e-parwana kisi sham-e-tapan tak aao lo wo sadiyon ke jahannam ki haden khatm huin ab hai firdaus hi firdaus jahan tak aao chhod kar wahm-o-guman husn-e-yaqin tak pahuncho par yaqin se bhi kabhi wahm-o-guman tak aao isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar shaikh-ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao