hausle haare hue kashti bhi tuti hui hai patte bikhre hue hain jhil bhi utri hui hai dilbari ke sabhi aadab use aate hain pahle bhi ek nazar se kahin guzri hui hai khidkiyan khol zara bundon ki tap-tap to sun aise mausam mein bhala kis liye ruthi hui hai khud bhi guzre ho kabhi aise kisi tajrabe se ya mohabbat pe faqat film hi dekhi hui hai main ne rukna nahin ab us ne palatna ho to ho aasra karta nahin aas bhi rakkhi hui hai ye mohabbat hai miyan sab se yunhi milti hai tujh ko lagta hai tere sath anokhi hui hai mar bhi jaun ise dariya mein nahin dalunga muddaton baad to mujh se koi neki hui hai