hawa badal gai us bewafa ke hone se wagarna khalq to khush thi khuda ke hone se khabar nahin mujhe matlub aur kya hai ki main zyaada khush nahin arz o sama ke hone se hamesha bar-sar-e-paikar hun kahin na kahin mujhe ilaqa nahin bach-bacha ke hone se ye shola dil se alag ho ke bhi nikal aaya kuchh aag phail gai hai hawa ke hone se ye shahr kuchh bhi mazafat ke baghair nahin wajud asl mein hai mawara ke hone se judai chhodti rahti hai wasl ki khushbu main zinda rahta hun aksar qaza ke hone se main purza purza pada hun jahan-tahan har samt khafa sabhi hain mere ja-ba-ja ke hone se zaruraten hi meri ho nahin rahin puri ruka hai qafila ek be-nawa ke hone se jo rah gai hai ye ek aanch ki kasar to 'zafar' wo zar-gari thi kisi kimiya ke hone se