mere chaaron taraf ek aahani diwar kyun hai agar sachcha hun main sach ka muqaddar haar kyun hai nishat-o-imbisat-o-shadmani zist thahri to batlae koi jina mujhe aazar kyun hai masafat zindagi hai aur duniya ek sarae to is tamsil mein tufan ka kirdar kyun hai jahan sach ki pazirai ke dawedar hain sab usi bazm-e-sukhan mein bolna dushwar kyun hai yaqinan hadse bhi juzw-e-khas-e-zindagi hain hamara shahr hi in se magar do-chaar kyun hai meri rahon mein jab hote nahin kante 'tasawwur' main dar kar sochta hun rasta hamwar kyun hai