hawa bhi garm hai chhae hain surkh baadal kyun ye zulm kis pe hua roi khak-e-maqtal kyun jo khwab dekhti aai hun apne bachpan se adhura khwab wo hota nahin mukammal kyun jo aarzu thi ki hon ird-gard gul-bute to tum ne nag-phani ke ugae jangal kyun hum apne shauq ki duniya mein gum the kuchh aise samajh na pae ki bhiga hai man ka aanchal kyun sukut se bhi samundar ke khauf aata hai hain kyun khamosh ye maujen nahin hai halchal kyun main jab sukun ki manzil se chand gam pe hun sadaen deta hai mazi mera musalsal kyun wo kaun apna 'shifa' yaad aa gaya tum ko tumhaari aankh hui ja rahi hai jal-thal kyun